Tuesday, 21 May 2013

(•۝• ѴƲ cℓʋв •۝•) Dekh lo Khwab


 

 

 

 

 

 

Dekh lo Khwab magar Khwab ka charcha na karo.
Log jal jayenge sooraj ki tamanna na karo.


Waqt ka kya hai kisi pal bhi badal sakata hai.
Ho sake tum se to tum mujh pe bharosa na karo.


Kirchiyaan Toote hue aks ki chubh jayengi.
Aur kuch roz abhi aaina dekha na karo.

Ajanabi lagne lage Khud tumhen apana hi wajood.
Apne din raat ko itana bhi akela na karo.



Khwab bachhon ke khilono ki tarah hote hain.
Khwab dekha na karo Khwab dikhaya na karo.


Be Khayali mein kabhi ungliyan jal jaayengi.
Rakh guzre hue lamhon ki kuaida na karo.


Mom ke rishte hain garmi se pighal jaayenge.
Dhoop ke shehr mein Wafa ki tamnna na karo…










--
--
-------------------------------------------------------------
"VU CLUB" | Learning and Entertainment |
-------------------------------------------------------------
 
For study material join VU Club at:
http://vuclub.net & http://vuforum.net
 
To post to this group, send email to:
vu-club@googlegroups.com
 
For more options, visit this group at
http://groups.google.com/group/vu-club?hl=en?hl=en
 
Join us on Facebook:
http://www.facebook.com/#!/groups/190713217644560/
---
You received this message because you are subscribed to the Google Groups "VU CLUB" group.
To unsubscribe from this group and stop receiving emails from it, send an email to vu-club+unsubscribe@googlegroups.com.
For more options, visit https://groups.google.com/groups/opt_out.
 
 

No comments:

Post a Comment